Digital marketing module

 


Digital marketing modules 


Ek Digital Marketing Course jaldi sikhne ki ek aasan tarike hai Practice, Practice and Practice. Digital marketing me har course ek dusre se inter connected hai. Agar aap inme se kisi ek field me specialist hona chahte hai toh aapko inhi field ke deeper part taak jana hai. Digital marketing bohot dynamic hai. Isliye aapko sikhne ke saath saath ise apply karna bhi hai. Jitni aap ise practically apply karenge, utni jaldi aap ye sikh payenge. Humare iss Digital marketing course me aap kya kya sikhne wale hai, uski ek chota description aap yaha dekh saakte hai. Digital marketing ke primary contents ko ek jhalak dekh liya jaye:

Blogging

SEM (Search Engine Marketing)

SEO (Search Engine Optimization)

Content Marketing

Social Media Marketing

Email Marketing

Web Analysis

Conversation rate Optimization (CRO)

Sales Funnels

Influencer Marketing


BLOGGING: 

Humara pahela topic hai Blogging. “Blog” word do words se aye hai. Ek hai “Web” aur dusra “log”. Jiska matlab ek communication medium ko indicate karte hai. Basically, Blog ek online diary hai. Hum Blog ko isitarah se use karte hai jaha hum koi topic ke bare me aapna thoughts share karte hai aur us topic related photo aur video add karte hai taaki wo blog kisi bhi ki attention catch karte hai. Internet ke user day by day increase ho rahe hai aur blogs ke bhi popularity increase ho rahe hai. 

Kya Blog ek Business aur Enterprises se related hai? Toh iska answer hai of course kyuki Blog ek aisa communication medium hai jaha pe aap target group ko attract karke aapni business products ko sell kar sakte hai. Ek accha blog ek company ki image, professionalism, iski expertise aur aapne sector me inke leading position ko reflect karte hai. Hum ek unique article istarha se likhte hai jaha pe hum ek subject ke upar aana deep knowledge share karte hai. Humare article ko rank karane ke liye sabse important hai SEO. Jiski jankari hum aage jaake lenge. Humare main goal ye hai ki hum jab ek post kare tab blog visitors ko kuch useful information provide kare. 

Ek high quality content publish karna itni zaroori kyu hai? Kyuki ek high quality content ye reflect karte hai ki hum hamare customers ke interests aur needs ko samajhte hai, Aur achche quality demonstrate karte hai. Aur iss contents ko jitna ho saake share karna zaroori hai. 



SEM (Search Engine Marketing): 

Search Engine Marketing ek aise process hai jaha pe ads, Search Engine me purchase karne ke through website me traffics gain hote hai. Aagar aap kisi ko koi gifts dena chahte hai ya khud ke liye kuch kharidna chahte hai toh aap use google me search karte hai. Google me jaake chaliye kuch likhte hai jaise maan lijiye kii aapne likha “Buy mobiles under 10000”. Yaha pe upar kuch ads aate hai. Aur niche sab organic results hai. Aagar aap abhi abhi ek new business khole hai toh aap turant hii aapne business ko number 1 position pe rank nehi karwa sakte hai, inke liye aapko Google ads purchase karna parega. No.1 aur No.2 positions me aana aapke ADS ke quality ke upar depend karega. Yehi Search Engine Marketing hai. Achche Google Ads run karwane ke art ko samjho aur aapne business se achcha paise kamao. Aapko ye bohot simple lag raha hoga ki aapko sirf keywords search karna hai aur ad start karna hai, lekin ye itni simple nehi hai. Ye ek aisa field hai jaha pe aapko bohot sikhne ki zaroorat hai. Optimization kaise karne hai, kaise keywords choose karne hai aur bohot kuch. Inke jo strategies hai wo bohot important hai, jaise:

Right keywords me focus karna zaroorat hai

Google’s ke quality score ke upar kam karna zaroorat hai

Overbidding avoid kare

Customer base ke upar plan aur research main hai

Ek achchi campaign bohot zaroori hai

User experience ke optimizing ke upar kaam karna

Search Engine platforms ke kuch example hai:

Google AdWords, Bing Ads, Yahoo Search Ads, Microsoft Advertising

Most common terms jo SEM activities ke saath related hai, wo hai:

Paid Search ads

Paid Search Advertising

PPC- Pay per click

CPC- Cost per click

CPM- Cost per thousand impressions


Search Engine Optimization (SEO): 

Chaliye aab baat karte hai SEO matlab Search Engine Optimization ko lekar. SEO ka best part ye hote hai ki yaha pe traffic free hai. Ye ek aisa process hai jaha me Google, Yahoo, Bing ke through traffic aate hai. Chaliye ek example le lete hai. Jaise me Google me type kar rahi hu “Mobiles under 10000”. Ye do ads hai. Yaha pe first result amazon aa rahe hai. Aab Amazon ko rank karne ke liye Google ko pay karne ki zaroorat nahi hote. Jaise maan lete hai 10000 se 20000 log “mobiles under 10000” keyword se daily google me search karte hai. Inme se 70% click first result me hote hai. So, Amazon daily 7000 to 14000 daily free traffic paa rahe hai. Toh jo log mobile kharidne ke liye Amazon me jaate hai wo Amazon ke liye profitable hote hai. Jaab aap koi social media marketing ads run karwa rahe hai taab aap Google ko kuch money pay kar rahe hai. Jaab bhi aapki koi Article Google me rank hona start kar degi aapko bohot sare free traffic milenge. Aur iske baad aapko jo paise milegi wo hi profit hai. 

Top SEO tools jo bohot popular hai: Google Analytics, Mozbar, SEMrush. 

Basically, SEO ko 3 parts me divide kiya jaate hai,

Black Hat SEO

White Hat SEO

Grey Hat SEO

Iske bare me hum detail me aage jaake baat karenge 

Next…


Content Marketing:

Content Marketing aaj ke din me bohot trending hai. Content marketing customers drive karne ke liye bohot beneficial hai. Content Marketing basically ek aisa content hai jahame aap content create karke aur use distribute matlab share karke aapne targeted audience tak pohoch sakte hai. Ye business use kiya jaate hai mainly aapne leads generate aur audience ko attract karne ke liye. Content marketing strategy ek marketing ke heart hote hai. Content marketing ke main goal hai:

Brand awareness

Traffic growth

Sales

Engagement

Leads generate

Customer loyality

Up-selling aur cross selling and many more…

Contents me blogs, eBook, whitepapers, infographic, image, videos include hote hai. 



Social Media Marketing:

Aap sabhi ne Social Media Marketing ke bare suna hoga. Ye aaj ki samay me bohot trending ho chuke hai. Hum sabhi koi na koi social media platform me hai. Jaise ki Facebook, WhatsApp, Instagram, YouTube, Twitter, Pinterest, LinkedIn, Snapchat etc. Aur ye sab channel me bohot sare audience hote hai. Jaise Facebook me multiple billion people unke channel me hote hai. Aur aab to log Instagram, Facebook se zyada use karte hai. Instagram aajke samay me naya trend hai. Aur jaha pe huge audience hote hai waha advertisement ke bohot opportunities hote hai. Social Media Marketing me aap aapna brand aur content social media me promote karte hai. Social media marketing ka matlab ek aisa process hai jaha pe hum social media sites ke through traffic gain karte hai. Social media marketing do types ke hote hai. Pahela organic aur dusra paid. “Facebook” advertisement ke liye giant platform hai. Ye ek image ad aur video ad ho sakte hai. Lekin aap inke through sabhi types ke audiences tak pohoch sakte hai. Instagram me Instagram influencer hote hai. Bas humko ek influencer hire karna hai aur unke through aap aapna business easily organically grow karwa sakte hai. YouTube ads bhi bohot popular hai. Ek achchi Social Media Marketing ke kuch strategy jo rahe na bohot zaroori hai:

Campaign Goals set kare

Community engagement aur target audience bohot zaroori hai 

Business analytics aur competitive analytics

Aur sabse important good content create

Unhi contents ki share

Campaign evolution


Email Marketing: 

Email Marketing India me zyada popular nehi. But companies ye formula ko use karke aapne business grow karwa rahe hai. Email marketing easy nehi hai. Aapko Email writing ke style pata hona chahiye. 95% internet users email use karte hai. Email Marketing ke through customers/clients ke beech ek achche relationships build hote hai. Toh ye sab ke baad kuch tools ke zaroorat hai jo aage ke video me discuss karenge. Email kabhi kabhi koi content ke promotion, events aur discounts ke liye use hote hai. Jiske through audience direct business website me jaate hai. Ek achche Email Marketing ke liye kuch points follow karna bohot zaroori hai:

Aapne goals ko identify karna

Aapne contact list build 

Email list ko achche tarha samajhna bohot zaroori hai

Attractive Email titles likhna bohot zaroori hai

High quality content creation

Aapne emails ko right time me send karo

Un Subscription option provide kare


Web Analysis: 

Web Analytics ke through hum ek website me human behaviour ke bare analyse kar sakte hai. Zyada visitors ko attract kar sakte hai. 

Basically, do types ke Web Analytics hote hai:

Off-site Web Analytics

On site Web Analytics


Sales Funnels:

Sales funnels koi bhi business ke liye ek important part hai. Koi bhi business ke ultimate goal hote hai ki aapne sales ko drive kare. Sales funnel create karne se pahele aapko Digital Marketing ke upar strong knowledge hona bohot hii zaroorat hai. Sales Funnels ek torch ki tarha hote hai jo ek path dikhate hai. Sales Funnel ye samajhne me help karte hai ki funnel me kaha kaha holes hai matlab kaha pe visitors drop out ho jaate hai aur sales kabhi nehi hoti. Ek Consumer 4 stages ke through jaate hai. Pahela visitor, fir Prospect, fir Lead aur uske baad finally Buyer. Humara main goal hote hai ek visitor ko buyer me convert karna. Toh ye kaise kaam karte hai? Iske liye hume prospect part samajhna bohot zaroorat hai. Ek visitor jaab aapke website me Google Search aur kuch social links ke through aate hai. Taab unko prospect kahete hai. Taab wo visitors aap ke kuch blog posts dekhenge aur aapke products lists ko check karenge. Leads basically kya hota hai? Jaab aap koi form fill up karne ke liye Bolte hai toh kuch prospects uss form ko fill up karte hai aur tab wo lead hote hai. Aap aapne website ke bahar ke customers ko access kar skate hai phone, text aur email ke dwara. Leads aapke website pe wapas aa sakte hai jaab aap unko coupon code, special offers leke contact karte hai. Aur tab wo buyers me convert ho sakte hai. Ek baat yaad rakhna Visitors>prospects>leads>sales. 

Sales funnel me 4 stages hai: Awareness, Interest, Decision aur Action. Chaliye ye sabhi stages ko individually explain karte hai. 

Awareness: 

Pahela step hai aapko ek consumer’s ke attention catch karni hai

Inhi stage me prospect aapke business ke main target hote hai jise aap kuch offer kar sakte hai.

Aap ise aapne website me firse return karwane ke koshis karte hai.

Next part hai Interest:

Jaab consumers inhi stage me aate hai wo aapke products ke saath aapke competitors ke products ko compare karte hai aur research karte hai.

Aapke main goal hai aapke consumers ko kuch offers deke unko help karna hai aur aapna sales age barana hai. 

Fir aate hai Decision:

Iss stage me customer buy karne ke liye ready ho jaate hai

Unko kuch offers dijiye jo wo refuse kar nehi sakte jaise koi discount code, free shipping, bonus etc.

Next Action:

Jo log purchase karenge wo aapke business ke ek part ho jayenge.

Aapke job hai ye sales ko barana

Iske baad aapka main kaam hai customers ke feedback lena aur unko purchasing ke liye gratitude show karna aur unko aapke sales ke saath engage rakhna. Uske baad aap aapne contents aapne subscribers tak pohochayenge taaki unko new trends aur aapke designs ke bare me pata chale aur aapke website se kharidne ke liye decision le saake. Isse aapke leads ko achche tarah research ho jayenge aur wo aapke competitors ke saath aapke products ke achchi tarha compare kar sakenge. Aur aap ek discount offer deke unke attention ko easily grab kar sakenge aur inhi tarha se aapke sales bhi increase honge. Uske baad aap unhi customers ko new email lists me dalegi aur same process follow karenge magar alag products ke sath. 


Influencer Marketing: 

95% marketers influencer marketing campaigns me huge benefits paate hai. Matlab aap ek popular person ke through aapke products promote karwa rahe hai. Ye free bhi ho sakte hai aur paid bhi ho saakte hai. Unke bohot sare followers hote hai, jinke through aapke products bohot logo ke attention grab karte hai. Inse aapke sales drive hote hai. Inse customer engagement barte hai. Trust build hote hai. Influencer marketing Instagram, Facebook, twitter ke through hote hai. 


Maan lijiye aapke ek ecommerce business hai jaha pe aap shirts bechte hai. Aapko pata hai ki Facebook me aapke bohot sare target audience hai. Waha different ages matlab 15-70 years ke males aur females hai. Aapke next target hai Facebook ad run karwa ke aapke website ke landing page me traffic laana.  Fir waha aap prospect ko email id provide karke subscribe karne ke liye bolenge jo lead karenge. Aab aapke pas leads honge. 


Conversation rate Optimization (CRO):

Ye Digital Marketing ke ek advance level ke important concept hai. Chaliye ek example le lete hai, yaha humare paas ek landing page hai free digital marketing course hai. Assume kar lete hai ki 100 log inhi page me visit kiye hai. Inme se 40 log yaha pe email id deke subscribe karenge free course ke liye. Aagar mai 30 log ke jagha 50 log same course ke liye pa sakti hu same cost pe, toh ye zyada benefit hai. Kyuki mai already money spend kar chuki hu uss hundred visitors ke liye. Toh yadi zyada log email id enter karte hai toh ye conversion rate mere liye better honge. Yaha me Conversion Rate Optimization kam karte hai. Toh yaha aap Exit pop-up dekh sakte hai.  Kuch samay baad ye pop up open ho jaate hai. Toh ye better Conversion rate optimization, aur zyada email subscribers gain karne me help karte hai. Aise bohot sare learning page, sales page aur product page ke conversion rates barane ke tips hai 


Digital marketing ke main course me jaane se pahele aapko ek baat clear kar deti hu ki ye nahi ki aap inhi sabhi modules ko depth me jaane ki koi zaroorat hai. Kyuki jaab aap job ke liye apply karenge tabhi aap waha alag alag field ke log payenge. Jaise Web Analysis specialist, SEO specialist etc. Magar ek digital marketer hone ke naate aapko iss sabhi modules ka overview janna bohot zaroorat hai. Uske baad aagar apko koi field achcha lage toh aap usme specialization kar sakte hai. Aur aagar aap inhi sabhi fields ko achchi tarha se samajh sakte hai toh aap ek Digital Marketing Manager baan sakte hai, jaha aap sabhi domain ke logo ko samval sakte hai. 

Digital marketing ek kitab nehi hai ki aap unhi kitab ko achche se pare aur exam pass kar jaye. Ye bas practice ki upar depend karte hai. Aur aap logo ko ye toh pata hi hai Practical knowledge, Theoretical knowledge se bohot hi powerful hai. Aap sabhi course me jo bhi sikhne jaa rahe hai unko practically apply kare aur achcha income kare. Aap aapne passion ko inhi Digital marketing ke dwara implement kare aur income kare. All the best!!!


Aagar ye content apko pasand aye toh ye content aap jin logo ka vala chahte ho unke sath zaroor share kijiye aur aap chahe toh content ko like v kar sakte hai. Aur aage v business related bohot si jankari paane k liye humare blog ko bejijag follow kar sakte hai.  Aur aisi hi business related kaunsa knowledge aap janna chahte ho aur hamara is content se kuch vi help hua toh uske bare me niche comment box pe bata sakte hai.


No comments

Got Anything to tell us mate?

Powered by Blogger.