Shayari collection 16
Shayari message 1
Yaad Hai Mujh Ko,
Us Ke Zulfon Se Khail Kay,
Mein Mehak Sa Jata Tha,
Us Ko Chuu Kar Mein,
Behak Saa Jata hai,
Us Ki Aankhon Mein,
Khud Ko Dekh Kar,
Mein Chehak Sa Jata Tha,
Aaj Na Zulfain Hain Us Ki,
Na Wo Hai Mere Paas,
Or Shayar Meri Tasweer Bhi,
Beh Gai Hai Aansuon Ke Selaab Mein....
Shayari message 2
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ke Door Jane Se,
Taluq Toot Jane Se,
Kisi Ke Maan Jane Se,
Kisi Ke Rooth Jane Se,
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta!
Kisi Ko Aazmane Se,
Kisi Ke Aazmane Se.
Kisi Ko Yaad Karne Se.
Kisi Ko Bhool Jane Se,
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ko Chor Dene Se,
Kisi Ke Chor Jane Se.
Na Samaa Jalane Se,
Na Sama Bujhane Se,
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Akele Muskurane Se
Kabhi Aansu Bahane Se
Na Is Sare Zamane Se
Haqeeqat Se Fasane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Kisi Ki Naa_Rasai Se
Kisi Ke Paa_Rsai Se
Kisi Ki Bewafai Se
Kisi Dukh Intehai Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta
Na To Is Paar Rehne Se
Na To Us Paar Rehne Se
Na Apni Zindagani Se
Na Ik Din Maut Aane Se
Mujhe Ab Dar Nahi Lagta…..
Shayari message 3
Dua Ki Soorat Mein Uski Khatir,
Jo Mere Honton Se Lafz Nikle,
Jo Meri Aankhon Se Ashk Nikle,
Unhi Ke Badle Mein Aey Khudaya!
Jab Bhi Uska Naseeb Likhna!
Urooj Likhna,
Kamal Likhna,
Kabhi Na Harf-e-Zawal Likhna,
Khushiyan Likhna,
Aur Uski Umer-e-Daraz Likhna…
Shayari message 4
Jitni Duain Aati Thin,
Sab Maang Leen Hum Ne
Jitne Wazeefe Yaad The Sare,
Kar Bethe Hain
Kai Tarhan Se Jee Dekha Hai
Kai Tarhan Se Mar Bethe Hain
Lekin Janaa!
Kisi Bhi Soorat
Tum Mere Ho Kar Nahi Dete..!
Shayari message 5
Kabhi Ye Dawaah Ke Wo Mera Hai Faqat Mera,
Kabhi Ye Dar Ke Wo Mujy Se Judaa To Nahi,
Kabhi Ye Dua Ke Use Mil Jain Sare Jahan Ki Khushiyan
Kabhi Ye Khauf Ke Wok Hush Mera Mina To Nahi
Kabhi Ye Tamanna Ke Bas Jaon Us Ki Nigahon Mein
Kabhi Ye Dharka Ke Uski Aankhon Ko Kisi Ne Dekha To Nahi
Kabhi Ye Khwahish Ke Zamana Ho Muntazir Us Ka
Kabhi Ye Beham Ke Wo Kisi Se Mila To Nahi
Kabhi Ye Aarzu K Wo Jo Mange Mil Jaye Use
Kabhi Ye Waswasa Ka Usne Mera Siwa Kuch Manga To Nahi
Shayari message 6
Koi Haar Gaya, Koi Jeet Gaya
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Kabhi Sapne Sajaye Aankhon Mein
Kabhi Beet Gaye Pal Baaton Mein
Kuch Talkh Se Lamhaat Bhi The
Kuch Haadse Or Sadmaat Bhi The
Kuch Be-Rukhi, Kuch Be-Chaini
Kuch Man Pe Simti Veerani
Kuch Lamhe The Yaadgar Bohat
Kuch Lamhon Ko Barbaad Kia
'Par Ab Ke Baras Aye Dost Mere
Mujhe Rab Se Dua Ye Mangne Do
Koi Pal Na Tera Udaas Guzre
Koi Rog Na Tujhe Raas Guzre
Koi Tu Phoolon Ki Tarhan Khila Kare
Koi Shakhs Na Tujh Se Gila Kare
Tu Khush Rahe, Abaad Rahe
Tu Jo Chahe Wo Mil Jaye
Teri Maaf Wo Har Ek Khata Kare
Tujhe Ause Hi Rab Ata Kare...'
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya....
Shayari message 7
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Ab Yaad Dilayn Kia Tum Ko
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Aur Apna Bhi Koi Doosh Nahi
Ye Bazi Bhi Jag Jeet Gaya
Wo Sard Hawain Ab Bhi Hain
Rangeen Fizain Ab Bhi Hain
We Bheege Bheege Pani Ki
Pur Shoor Sadain Ab Bhi Hain
Mein Ab Bhi Udher Ko Jata Hun
Aur Dil Apna Sulgata Hun
Ab Tum Nahi Hote Sath Mere
Aur Hote Hain Khali Haath Mere
Pur Shor Sadain Poochti Hain
Wo Sard Hawain Poochti Hain
Wo Kahan Gaya Sathi Tera?
Kia Phir Ye Zamana Jeet Gaya?
Ye Saal Bhi Aakhir Beet Gaya
Ab Yaad Dilayn Kia Tum Ko......
Shayari message 8
Har Din-O-Raat Subh-O-Sham Aap Se
Baat Karne Ki Aadat Si Ho Gai
Phir Rafta Rafta Aap Se Mohabbat Si Ho Gai
Shayd Ye Mohabbat Ka Taza Taza Asar Tha
Har Pal Pal Mein Aap Ki Zaroorat Si Ho Gai
Ek Zamana Tha Ke Zindagi Be Rang Thi
Aur Ab Khud Ko Sajane Sanwarne Ki Adat Si Ho Gai
Zamane Ne Kiye Bohat Se Sawal ‘Farhan’
Pehle Tumhari Zindagi Kesi Thi?
Aur Ab Yeh Tumhari Zindagi Kesi Ho Gi
Main Bas Chup He Raha Jaan-e-jaan,
Aur Mere Piyaar Ki Wazahat Si Ho Gai
Shayari message 9
Aye Maan Mujhe Neend Nahi Aati……
Mujhe Apni Aaghosh De Do
Mere Maathe Par Lab Mohabbat Rakh Do
Mujhe Meethi Loori Suna Do
Mere Sare Gham Mita Kar
Apne Seene Ki Thandak Mein Chupa Loo
Aye Maan….!
Muddat Hui Mein Rooya Nahi Hun
Kai Raatein Kat Gayn Mein Sooya Nahi Hun…..
Shayari message 10
Aye Maan Mujhe Neend Nahi Aati……
Mujhe Apni Aaghosh De Do
Mere Maathe Par Lab Mohabbat Rakh Do
Mujhe Meethi Loori Suna Do
Mere Sare Gham Mita Kar
Apne Seene Ki Thandak Mein Chupa Loo
Aye Maan….!
Muddat Hui Mein Rooya Nahi Hun
Kai Raatein Kat Gayn Mein Sooya Nahi Hun…..
Leave a Comment