Shayari collection 11

Shayari message 1 

Ussey kehna ke laut aye,
Mohabbat awaz deti hai,
Tujhe phir se bulati hai,
Jo tu ne saath dekhe they,
Woh sapne sajaati hai,
Woh phoolon pe ruki shabnam
Tumhari raah takti hai,
Tumhe waapis bulaati hai,
Woh jugnu ab bhi kehte hain,
Teri ankhen jo unse sawaal karti theen,
Ussey jawab dene hain,
Saarey hisaab dene hain,
Kabhi to mujh ko kehne do,
Ke tum bin chaand bhi udaas rehta hai,
Meri ankhon ke woh aansu,
Jo girte hain to awaz dete hain,
Samandar ke kinaare sippiyan jo gungunaati hain,
Tumhe waapis bulaati hain,
Ussey kehna meri palkon pe thehra jo ik moti,
Tumhari raah takta hai,
Woh girne se darta hai,
Woh darta hai mohabbat ke bikharne se,
Woh darta hai palkon se girne se,
Woh ik muskaan jo thehri teri aahat ki chaahat main,
To saans lene se darti hai,
Ussey kehna ke laut aye,
Ke woh muskaan phirti hai,
Kabhi uss dar kabhi iss dar,
Ke tu jo aaye to tere honton pe sajj jaye,
Tere baalon main bikhar jaye,
Magar jo tu nahin aata,
To woh un raston ke saare kaanton ki nokk pe sone lagti hai,
Jahan se tum guzarte they,
Murr ke takte rehte they,
Meri saanson ko milte they,
Ussey kehna ke laut aaye,
Mohabbat awaz deti hai,
Tujhe phir se bulaati hai,
Ke laut aao..



Shayari message 2

Ab jo dekhen to koi aesi barri baat na thi,
Yeh shab-o-roz, maah-o-saal ka pur-paich safar,
Qadrey asaan bhi ho sakta tha,
Yeh jo har morr pe kuch uljhe huye raste hain,
In main tarteeb ka imkaan bhi ho sakta tha,
Hum zara dheyaan se chalte to woh ghar,
Jis ke baam-o-dar-o-deewar pe veerani hai,
Jiss ki har subah main shaamon ki pareshaani hai,
Uss main hum chain se abaad bhi ho sakte they,
Bakht se amman ki raahen bhi nikal sakti theen,
Waqt se sulaah ka paimaan bhi ho sakta tha,
Ab jo dekhen to bohat saaf nazar aatey hain,
Saarey manzar bhi, pass-e-manzar bhi,
Lekin iss dair khayaali ka silaah kya hoga,
Yeh to sab baad ki baaten hain meri jaan,
Inhe dekhte sochte rehne se bhala kya hoga,
Woh jo hona tha hua, ho bhi chuka,
Waqt ki lohh pe likhi hui har tehreer ke harff,
Khat-e-tanseekh se waaqif hi nahin,
Bakht maktab ke register ki tarah hota hai,
Apne number pe jo labaikk nahin keh paatey,
Unka kuch uzzr nahin, koi bhi fariyaad nahin,
Yeh woh taayer hain jinhe apni nawaah yaad nahin,
Linain kat’ti rahin, lafz badalne ke sabbab,
Koi tehreer musalssal nahin hone paayi,
Haasil-e-umar yehi channd adhoorey haakay,
Koi tasveer mukammal nahin hone paayi,
Ab jo dekhen to koi aesi barri baat na thi…



Shayari message 3

Zehen ke khayalon main,
Rooh ke ujaalon main,
Zindagi ki jheelon main,
Zaat ki faseelon main,
Rat.jagon ke daaman main,
Dil ke khushk sehraa main,
Chashm-e-tar ke ke daryaa main,
Dard ke jahaan main bhi,
Ashk-e-be.zubaan main bhi,
Aur kuch nahin rehta,
Teri yaad rehti hai..



Shayari message 4

Aaj bohat saalon baad maine eid manayi hai,
us ne khusbhuu ke jhoolon main
phoolon ki khawhishen bhejin,
us ne taaron ki thandi chaaon,
aur khawbon ki titliyaan bhejin,
aik vaada-e-fardaa bheja us ne,
saath nibhaane ka,
chorr na jaane ka,
Mujhe maloom hai woh behlaata hai,
mujh ko sataata hai,
magar us ke sapnon se,
uss ke waadon se,
maine aik duniya sajaayi hai,
Aaj bohat saalon baad maine eid manayi hai..



Shayari message 5

Iss eid pe tujh ko main kya bhejoon,
koi jugnuu,
koi taara,
koi sapnaa bhejoon ?
Koi phool bhejoon ad’khilaa se,
koi umeed,
koi aas,
koi nazaara bhejoon ?
Chaand bhejoon tujhe is eid pr dilbar,
ik khushbuu,
ik rang ka istaara bhejoon ?
Aye mere meherbaan,
roshni ki rang ki muskaan bhejoon ?
ya qauss-o-qazaa ki uthaan bhejoon ?
Apni aankh ka koi moti teri nazar karoon,
Ya hathon se maangi koi dua bhejoon ?
Phoolon se koi titlii ki mohabbat bhejoon,
kisi bhanwre ki lagan,
us ka tarrapna bhejoon ?
Kisi shamma ka jalta hua daaman bhejoon,
Ya baarish ki tarrapti hui boondain bhejoon ?
Mere hathon main ik aas, umeed aur dua hai,
iss eid pe main tujh ko bass itna keh doon,
Ke jis ko tum se mohabbat hai,
Woh sitaara mil jaye,
Aye mere mehboob tujhe iss eid pr,
Tujh ko iss eid pe
Koi tumhara mil jaye..



Shayari message 6

Kal hamesha ki tarah
uss ne kaha yeh phone pr
main bohat masroof hoon
mujh ko bohat se kaam hain
Is liye tum aao milne
main to aa nahin sakta
ab har riwaayet torr kar
iss baar maine keh diya
Tum jo ho masroof to
main bhi bohat masroof hoon
tum jo ho mashoor to
main bhi bohat maroof hoon
Tum agar ghamgeen ho
main bhi bohat ranjuur hoon
tum thakkan se chuur ho
main bhi thakkan se chuur hoon
Jaane mann
hai waqt mera bhi bohat hi qeemti
kuch purane doston ne milne ana hai mujhe
main bhi ab faragh nahin
mujh ko bhi laakhon kaam hain
Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain
meri ankhen bhi bohat bojhal hain
sona hai mujhe
rat.jagon ke baad neendon main khona hai mujhe
Main lahuu apni anaaon ka
bahaa sakta nahin
tum nahin aati
to milne main bhi aa sakta nahin
Us ko yeh keh kar Wasi
maine receiver rakh diya
aur phir apni anaaa ke paaon pe
sar rakh diya..



Shayari message 7

Amaa mujh ko roti do
Kal bhi tum ne baaton se
An-dekhi saughaaton se
Mera jee behlaaya tha
Mujhe khaali paitt sulaaya tha
Lekin ab na sehh paaon ga
Aaj na bhooka reh paaon ga
Acha mera laaal zara bahar khel ke aa jao
Main choolhe ki aatish pr
Kisi gumnaam vaseele ka
Koi hawaala rakhti hoon
Tere bhooke honntton pr
Ik tar nivaala rakhti hoon
Maan ne barassti ankhon se
Darwaze ke hilte bhatt main
Zeest ka chand dhundhlaaya dekha
Munne ka jaata saaya dekha
Phir uss ne apne kaanon main
Khud hi apni goonj suni
Ke jism ke thekkedaar ke paas
Mere iss zakham ka marham hai
Ik lamha tha shayed jeevan ka
Jab maaan ne apni betti ko
Baich diya aatte ke ivaz
Aur apne laaghar kandhon pr
Apni hurmat ki laash uthaaye
Ghar ko palatt parri ke jese
Koi sazaa-e-maut ka mujrim
Bojhal bojhal qadmon se
Phaansi-ghaat ko chalta hai
Amaa khushbuu kehti hai ke
Tum ne maamta ke taishe se
Faaqon ki singlakh chittanon main
Rizq ki nehar nikaali hai
Amaa mujh ko lagta hai
Aaj christmas, eid, diwali hai
Aapa, Aapa tum bhi khana kha lo
Dekho maan ke hathon ki mehak
Roti main shaamil hai
Iss pr tum ne do din se
Paani ka dhoka khaya hai
Khud ko bhook main tarrpaaya hai
Amaa aapa kidar hai ?
Kissi bassti main utri hai ?
Kaise tujhe samjhaaon beta
Kaise tujhe dikhaaon beta
Ab yeh daagh numaayan hai
Mere iss daaman maille pr
Teri aapa bikk gayi hai
Ik aatte ke thailay pr..



Shayari message 8

Jab tere sheher se guzarta hoon,
Dil bhi karta hai yaad chhup ke tujhe,
Naam leti hai zubaan tera,
Yeh bhi nahin mujhe maloom,
Kis mohalle main hai makaan tera,
Kaun si shaakh-e-gul pe raqsaan hai,
Rashq-e-firdaus aashiyan tera,
Jaane kin waadiyon main thehra hai,
Girat-e-husn kaarvaan tera,
Kis se poochon ga main khabar teri,
Kaun batlaaye ga nishaan tera,
Teri ruswaayiyon se darta hoon,
Jab tere sheher se guzarta hoon,
Haal-e-dil bhi na keh saka garche,
Tu rahi muddaton qareeb mere,
Kuch teri azmaton ka ddar bhi tha,
Kuch khayalaat they ajeeb mere,
Aakhir kaar woh gharri aayi,
Baar-e-dar ho gaye raqeeb mere,
Tu mujhe chorr ke chali bhi gayi,
Khair qismat meri naseeb mere,
Ab main kyun tujhse pyaar karta hoon,
Jab tere sheher se guzarta hoon,
Woh zamaana teri mohabbat ka,
Ek bhooli hui kahaani ka,
Tere kuuche main umar bhar na gaye,
Saari duniya ki khaak chhani hai,
Lazzat-e-qarb ho ke zakhm-e-firaaq,
Jo bhi hai teri meherbaani hai,
Kis tamanna se tujh ko chaaha tha,
Kis mohabbat se haar maani hai,
Apni kismat pe naaz karta hoon,
Jab tere sheher se guzarta hoon..



Shayari message 9

Ek shakss ko chaaha tha
Taaron ki tarah hum ne
Ek shakss ko chaaha tha
Apnon ki tarah hum ne
Ek shakss ko samjha tha
Phoolon ki tarah hum ne
Woh shakss qayamat tha
Kyaa uss ki karen baaten
Din uss ke liye paida
Aur uss ki hi theen raaten
Kab miltaa kisi se tha
Hum se theen mulaaqaaten
Rang uss ka shahaabi tha
Zulfon me theen mehkaaren
Aankhen theen ke jaadu tha
Palken theen ke talwaaren
Dushman bhi agar dekhe
Sau jaan se dil haarey
Kuch tum se hi woh milta tha
Baaton mei shabaahat thi
Haan tum saa hi lagta tha
Shokhi mei sharaarat mein
Lagta bhi tumhi sa tha
Dastoor-e-mohabbat mein
Woh shakss humen aik din
Apnon ki tarah bhoola
Taaron ki tarah dooba
Phoolon ki tarah toota
Phir haath na aaya woh
Hum ne to bohat dhoondha
Tum kis liye chonkay ho
Kab zikr tumhara hai
Kab tum se taqaaza hai
Kab tum se shikaayet hai
Ek taaza hikayet hai
Sun lo to inaayat hai
Ek shakss ko chaaha tha
Taaron ki tarah hum ne..



Shayari message 10

Ab ke uss ki ankhon main
Be-sabab udaasi thi
Ab ke uss ke chehre pr
Dukh tha, be-hawaasi thi
Ab ke yuun mila mujhse
Yuun ghazal suni jese
Main bhi na-shanaasa hoon
Woh bhi ajnabi jese
Zard haal-o-hadh us ke
Sogwaar daaman tha
Ab ke uss ke lehje mein
Kitna khurdraa-pan tha
Woh ke umar bhar jis ne
Sheher bhar ke logon mein
Mujh ko hum-sukhan jaana
Khud sa meherbaan samjha
Mujh ko dilrubaa likha
Ab ke saada kaghaz pr
Surkhh roshnaayi se
Uss ne talkhh lehje mein
Mere naam se pehle
Sirf bewafa likha
Sirf bewafaa likhaa..

No comments

Got Anything to tell us mate?

Powered by Blogger.