shayari collection 10

Shayari message 1 

Yeh mehlon, yeh takhton, yeh taajon ki duniya,
Yeh insaan ke dushman samaajon ki duniya,
Yeh daulat key bhookhay rawajon ki duniya,
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai,
Yeh duniya agar mil bhi jaaye to kya hai,
Har ek jism ghayal, har ek rooh pyaasi,
Nigahon mein uljhan, dilon mein udaasi,
Yeh duniya hai ya aalam-e-badhawasi,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,
Yahaan ik khilona hai insaan ki hasti,
Yeh basti hai murda paraston ki basti,
Yahaan to jeevan se hai maut sasti,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,
Jawaani bhatakti hai badkaar ban kar,
Jawaan jism sajtey hein bazaar ban kar,
Yahaan pyaar hota hai byopaar ban kar,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,
Yeh duniya jahaan aadmi kuch nahi hai,
Wafaa kuch nahi, dosti kuch nahi hai,
Yahaan pyaar ki qadar hi kuch nahi hai,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai,
Jala do isey, phoonk daalo yeh duniya,
Mere saamne se hattaa lo ye duniya,
Tumhari hai tum hi sambhalo yeh duniya,
Yeh duniya agar mil bhi jaye to kya hai..



Shayari message 2 

Agar kabhi meri yaad aye,
To chaand raton ki narm dilgeer roshni main,
Kisi sitaare ko dekh lena,
Agar woh nakhl-e-falak se urr kar tumhare qadmon main aa gire to,
Yeh jaan lena woh istaara tha mere dil ka,
Agar na aaye..
Magar yeh mumkin hi kis tarah hai ke tum kisi pr nigaah dalo,
To us ki deewar-e-jaan na tootay,
Woh apni hassti na bhool jaye,
Agar kabhi meri yaad aye,
Gurez karti hawaa ki lehron pe hath rakhna,
Main khushbuon main tumhe miloon ga,
Mujhe gulaabon ki patiyon main talash karna,
Main oass qatron ke aayinon main tumhe miloon ga,
Agar sitaron main, oass qatron main, khushbuon main na pao mujh ko,
To apne qadmon main dekh lena,
Main gard karti masaafton main tumhe miloon ga,
Kahin pe roshan chiraagh dekho to jan lena,
Ke har patangay ke sath main bhi bikhar chuka hoon,
Tum apne hathon se un patangon ki khaak daryaa main daal dena,
Main khaak ban kar samandron main safar karoon ga,
Kisi na dekhe huye jazeere pe ruk ke tum ko sadaayen doon ga,
Samandron ke safar pe niklo to us jazeere pe bhi utarna,
Agar kabhi meri yaad aye…



Shayari message 3

Kabhi hum khoobsurat thay,
Kitaabon main bassi khushbu ki maanind,
Saans saakin thi,
Bohat se an-kahe lafzon se tasveeren banate they,
Parindon ke paron pr nazam likh kar,
Door ki jheelon main basne wale logon ko sunaate they,
Jo hum se door thay lekin hamare paas rehte thay,
Naye din ki musaafat jab kiran ke sath hamare aangan main utarti thi,
To hum kehte they, ami titliyon ke par kitne khoobusrat hain,
Humen maathay pe bossa do,
Ke hum ko titliyon ke, jugnuon ke des jana hai,
Humen rangon ke jugnu, Roshni ki titliyaan awaz deti hain,
Naye din ki musaafat rang main dabi hui hawaa ke sath khirrki se bulaati hai,
Humen maatthay pe bossa do,
Ke hum ko titliyon ke jugnuon ke des jana hai..


Shayari message 4

Mohabbat rog hai ya phir haseen raag hai koi,
Kisi jharnay ke paani ka dilkash saaz hai koi,
Mujhe aksar yeh lagta hai mohabbat raaz hai koi,
Samajh se baala ik awaz hai koi,
Phir is raaz se parda uthaane ko,
Sabi ehsas ke dhaaron ko milaya maine,
Aur dheere se mohabbat se bass itna kaha,
Mohabbat kya ho akhir tum,
Mohabbat kya ho akhir tum,
Kisi majnoon ka pagalpan,
Kisi farhaad ka taisha,
Kisi sassi ka sehraa ho,
Kisi punnu ki bechaini,
Kisi sohni ka gharra ho,
Junoon haizi ho tum,
Ya phir junoon haizi ki rahbar ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,
Batao na kisi mastaanay ki masti ho,
Kisi sufi ka sajda ho,
Kisi zahid ka taqwa ho,
Kisi bhale ke ghunghruu ho,
Kisi mufti ka fatwa ho,
Koi uljhan ho tum ya koi suljhi hui shay ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,
Kisi waris ki heer ho,
Kisi saif ki jheel ho,
Tum kis raste ki rahbar ho,
Be-nishan ho ya phir koi nishan-e-manzil ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,
Koi mai-khana ho tum,
Ya kisi mai-khane ka jaam ho,
Koi pathar ki murat ho,
Koi masjid ya mandir ho,
Kisi deewane ka raqs ho,
Ya phir mast dhamaal ho,
Andheri raat main jugnu,
Ya phir subah ka sitaara ho,
Mohabbat kya ho akhir tum,
Kisi ki ankh ka paani ho,
Ya khush-rang kahani ho,
Kisi ki thandi aah ho,
Ya tum koi dilkash hansi ho,
Tapti dhoop main saya,
Ya phir december ki dhoop ho,
Mohabbat ka ho akhir tum,
Bohat socha tab mere dil se sadaa ayi,
Mohabbat dil pe ilhaam ki surat,
Bohat dheere se utarti hai,
Kahin andar panapti hai,
Mohabbat rog hai ya phir haseen raag hai koi,
Kisi jharne ke paani ka dilkash saaz hai koi,
Mohabbat deen hai ya phir tayaag hai koi,
Kisi kache gharre ka raaz hai koi..



Shayari message 5

Akhri chand din december ke,
Har baras hi giraan guzarte hain,
Khawhishon ke nigaar-khanay se,
Kese kese gumaan guzarte hain,
Raftagaan ke bikharte saayon ki,
Aik mehfil si dil main sajti hai,
Phone ki diary ke safhon se,
Kitne number pukaarte hain mujhe,
Jin se marboot be’nawaa ghanti,
Ab faqat mere dil main bajti hai,
Kis qadar pyare pyare naamon pr,
Reengti bad’numaa lakeeren si,
Meri aankhon main phail jati hain,
Dooriyan daayere banati hain,
Phir december ke aakhri din hain,
Har barass ki tarah se ab ke bhi,
Diary ik sawaal karti hai,
Kya khabar is baras ke akhir tak,
Mere in be’chiraagh safhon se,
Kitne hi naam katt gaye hon ge,
Kitne number bikhar ke raston main,
Gard-e-maazi se att gaye hon ge,
Khaak ki dheriyon ke daman main,
Kitne tufaan simatt gaye hon ge,
Har december main sochta hon main,
Aik din is tarah bhi hona hai,
Rang ko roshni main khona hai,
Apne apne gharon main rakhi hui,
Diary dost dekhte hon ge,
Un ki ankhon ke khaak-daanon main,
Aik sehraa sa phailta ho ga,
Aur kuch benishaan safhon se,
Naam mera bhi katt geya hoga..



Shayari message 6

Tum jitna bhi chaho lekin,
Rishte kab toota karte hain,
Rishte chahe toot bhi jayen,
Toote rishte bhi rishte hain,
Kab koi azaad hua hai,
In rishton ki zanjeeron se,
Rishte kab toota karte hain,
Man main sochi tadbeeron se,
Hum se door to ho jate hain,
Pr kab mitt paate hain rishte,
Jeevan ke sehraa main,
Shadaabi laate hain rishte,
Faasle paida karke aese,
Rote rehna bhi rishte hain,
Sheeshon se aur deewaron se,
Baaten karna bhi rishte hai,
Pal pal aankhon ke saahil se,
Dard ki mojain aa milti hain,
Khoon ke aansuu dil rota hai,
Jab jab bhi kalliyan khilti hain,
Rishton ke dehleez pe jana,
Deewanon ke sar phoote hain,
Tooti hai sanson ki dori,
Lekin rishte kab toote hain,
Tum rishte khone main koshan,
Hum rishte bunne main koshaan,
Apni apni koshish le ker,
Mar jayen ge hum tum dono,
Yunhi zinda reh jayen ge,
Toote phoote rishte saare..



Shayari message 7

Har baar mere samne aati rahi ho tum,
Har baar tum se mil ke bicharta raha hon main,
Tum kaun ho yeh khud bhi anhin janti ho tum,
Main kaun hoon yeh khud bhi nahin janta hon main,
Tum mujh ko jaan kar hi parri ho azaab main,
Aur iss tarah khud apni saza ban geya hoon main,
Tum jis zameen par ho main us ka khuda nahin,
Pass sar-ba-sar aziyat o aazaar hi raho,
Bezaar ho gayi ho bohat zindagi se tum,
Jab bass main kuch nahin to bezaar hi raho,
Tum ko yahan ke saaya o partau se kya gharazz,
Tum apne haq main beech ki dewaar hi raho,
Main ibtidaa se ishq se be-mehr hi raha,
Tum intihaa-e-ishq ka meyaar hi raho,
Tum khoon thookti ho yeh sun kar khushi huyi,
Iss rang is adaa mai bhi purkaar hi raho,
Main ne yeh kab kaha tha mohabbat main hai nijaat,
Main ne yeh kab kaha tha wafadaar hi raho,
Apni mata-e-naaz lutaa kar mere liye,
Bazar-e-iltifaat main nadaar hi raho,
Jab main tumhen nishaat-e-mohabbat na de saka,
Gham main kabhi sukuun-e-rifaaqat na de saka,
Jab mere sab charaagh-e-tamanna havaa ke hain,
Jab mere saarey khawb kisi bewafaa ke hain,
Phir mujh ko chaahne ka tumhe koi haq nahin,
Tanhaa karaahne ka tumhen koi haq nahin..



Shayari message 8

Mujhe ab darr nahin lagta
kisi ke door jane se
Taluq toot jane se
Kisi ke maan jaane se
Kisi ke rooth jaane se
Mujhe ab Darr nahin lagta
Kisi ko aazmane se
Kisi ke aazmane se
Kisi ko yaad rakhne se
Kisi ko bhool jaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ko chorr dene se
Kisi ke chorr jaane se
Shamma ko jalaane se
Shamma ko bhujaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Akele muskuraane se
Kabhi ansuu bahaane se
Na iss saare zamaane se
Haqeeqat se fasaane se
Mujhe ab darr nahin lagta
Kisi ki naa-rsaayi se
Kisi ki paa-rsaayi se
Kisi ki bewafaayi se
Kisi dukh intehaayi se
Mujhe ab darr nahin lagta
Na to iss paar rehne se
Na to uss paar rehne se
Na apni zindgaani se
Na ik din maut aane se
Mujhe ab darr nahin lagta



Shayari message 9

Kabhi iss tarah se bhi eid kar,
Abhi zid na kar dil-e-bekhabar,
Ke pass-e-hujoom sitam–giraan,
Abhi kon tujh se wafaa kare,
Abhi kiss ko fursaten iss qadar,
Ke samaitt kar teri kirchiyaan,
Tere haq main khud se dua kare,
Abhi zid na kare dil-e-bekhabar,
Ke tah-e-ghubaar e gham-e-jahan,
Kahan kho gaye tere chaaragar,
Ke raah-e-hayaat main raayegaan,
Kahan so gaye tere humsafar,
Abhi ghamgusaron ki chott seh,
Abhi kuch na sun abhi kuch na keh,
Abhi zid na kar mere be-nawaa,
Abhi ho sake to sahii mere,
Sabhi khawb raakh main daffan kar,
Abhi ho sake to yeh soch le,
Ke tuluu-e-ashq se paishtar,
Kahin dard hai to huaa kare,
Koi chott hai to khila kare,
Kabhi yun bhi ho ke sar-e-uffaq,
Tere dukh ka chaand dammak uthe,
Koi tees khud se chamak uthe,
Kisi sheher-e-zakhm farosh main,
Koi zakham khud se khareed kar,
Sabhi akss khud se khurachh kabhi,
Kiisi aayine pe na deed kar,
Kabhi yuun bhi jashn-e-turb mana,
Kabhi iss tarah se bhi eid kar…



Shayari message 10

Sheher ke dukaandaro,
Karobaar-e-ulfat main suud kya ziyaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,
Dil ke daam kitne hain,
Khawb kitne mehnge hain,
Aur nakd-e-jaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,
Koi kese mitla hai,
Phool kese khilta hai,
Ankh kese jhukti hai,
Saans kese rukti hai,
Kese raah nikalti hai,
Kese baat chalti hai,
Shauq ki zubaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,
Shehr ke dukaandaro,
Vasl ka sukoon kya hai,
Hijr ka junoon kya hai,
Hussn ka fasoon kya hai,
Ishq ka daroon kya hai,
Tum mareez -e- danaayi,
Masslehat ke shedaayi,
Raah-e-gumrahaan kya hai,
Tum na jaan paao ge,
Shehr ke dukaandaro,
Zakhm kese phhalte hain,
Daagh kese jalte hain,
Dard kese hota hai,
Koi kese rota hai,
Ashq kya hai naalay kya,
Dasht kya hai chhaalay kya,
Aah kya fughaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,
Na-muraad dil kese subah shaam karte hain,
Kese zinda rehte hain aur kese marte hain,
Tum ko kab nazar aayi, ghamzadon ki tanhayi,
Zeest be-amaan kya hai,
Tum na jaan pao ge,
Jaanta hoon main tum ko Zauq-e-shayari bhi hai,
Shakhsiyat sajaane main ik yeh maahri bhi hai,
Phir bhi harf chuntey ho,
Sirf lafzz Sunte ho,
In ke darmiyaan kya hai,
Tum na jaan pao ge..

No comments

Got Anything to tell us mate?

Powered by Blogger.