Shayari collection 14

Shayari message 1 

Usey kehna,
Keh thakk sa geya hoon,
Mein khud ko saabit karte karte,
Agarchey, mere tareekay galat honge,
Iraadey magar sachh pe mabni hain,
Tum agar chaaho,
To mere jazbon ka imtehaan lo,
Mere haq me faisla dene ko,
Suno ab to to tthaan lo,
Usey kehna,
Ke thakk sa geya hoon..



Shayari message 2 

Maan liya sach kehti ho,
Mujh se mohabbat karti ho,
Meray khawbon ki duniya mein rehti ho,
Meri yaad ke aalam,
Door hila’aa mein,
Aksar takti rehti ho,
Din sochon mein katt jata hai,
Raat ko neend nahi aati,
Ek ek taara ginti ho,
Ye bhi sach hai,
Apney hussn ki barish se,
Meri zeest ka sehraa,
Jal-thal ker do ge,
Jeevan bhar sukh baanto ge,
Lekin…
Aye masoom larrki !!
Main bebass hoon,
Chahoon bhi to,
Sath tumhara de nahi sakta,
Mere dukh ki duniya tanhaa,
Mere sukh ki bat alag hai..
Kis umeed pe, kis bharosey per,
Mera daaman thaamo gi,
Mere haath ki tooti-phooti,
Tirchi lakirein ghaur se dekho,
In mein tumhara naam nahi hai..



Shayari message 3

Tum laut aao to,
Bahaar aaye,
Sadiyon se chala ho jo musafir,
Nangey paaon,
Pathreeli rait per,
Dikhe jese phir koi saaya daar darakht,
Yun mujhko jese qaraar aye,
Tum laut aao to,
Bahaar aaye,
Mujhe to kuch yaad nahi rehta,
Tumhe sab yaad rehta tha,
Mujhe kab kis se milna hai,
Kahan kab baat karni hai,
Kahan chup chaap sa rehna hai,
Shor hota tha intihaa ka,
Tumhe kese maloom parrta tha,
Subah jab darwazey pe
Akhbaar aye,
Tum choottay ho,
To sabhi kaam thhap huye hain,
Sabhi cheezein wahin rakhi hain,
Mujhe kuch bhi karna,
Be’maani sa lagta hai,
Sabhi halaat,
Sabhi jazbaat,
Tumhi pe sarff kiye hain,
Mujhe kuch aur chaahna nahi aya,
Halka sa bhi jo kabhi
Khud pe ikhteyaar aye,
Maut qareeb ho jese,
Khonay ko ab kuch bhi nahi baaki,
Phir bhi kyun ese lagta hai,
Tum laut aao to,
Bahaar aaye..
Tum laut aao to,
Bahaar aaye..



Shayari message 4

Mudat’ton se,
Jism ke jhoolay mein dil,
Murdaa bachey ki tarah,
Khamosh hai,
Aur zindagi,
Ik baawli maan ki tarah,
Jhoola jhulaaye jati hai,
Pankhaa hilaaye jati hai..



Shayari message 5

Barishon ka mosam hai,
Rooh ki fizaon mein,
Ghamzda hawayen hain,
Besabab udasi hai,
Is ajeeb mosam mein,
Beqrar lehjon ki,
Beshumar baaten hain,
Anginat fasane hain,
Jo bohat khamoshi se,
Dil pe sehtay phirtay hain,
Aur ba amar-e-majburi,
Sab se kehtay phirtay hain,
Aaj mosam acha hai..
Aaj mosam acha hai..



Shayari message 6

Judaayi ke mosam main,
Utarti shaam se pehle,
Meri yakh-basta ankhon main,
Khaamoshi raqss karti hai,
To uss ki yaad ki payal,
Yoon mere kaan main aa kar,
Mussalsal chanchhanati hai,
To phir yakdam khaamoshi ka,
Tassalsul toot jata hai,
Phir aise mein koi koyal,
Barre hi qarb se kookay,
To yoon mehsoos hota hai,
Ke jaise be-sabab koi,
Kissi ko yaad karta hai,
Kissi ko yaad karta hai…



Shayari message 7

Meri aankhon pe marta tha,
Meri baton pe hansta tha,
Na jane shakhs tha kaisa,
Mujhe khone se darta tha,
Mujhe jab bhi woh milta tha,
Yahi har bar kehta tha,
Suno!
Agar me bhool jaon to,
Agar me rooth jaon to,
Kabhi wapis na aaon to,
Bhula pao ge yeh sab kuch,
Yunhi hastey raho gaye kya,
Yunhi sajtey raho gaye kya,
Yehi batain hain bas uski,
Yehi yadein hain bas uski,
Mujhe bas hai pata itna,
Mujhe woh pyar karta tha,
Mujhe woh pyar karta tha..



Shayari message 8

Wo larki shayad pagal thi,
Din raat hi gumsum rehti thi,
Kuch sharm-o-haya ka paikar thi,
Kuch narm mizaj rakhti thi,
Ankhon mai neem nasha sa tha,
Baaton sy dewani lagti thi,
Humraz na tha uska koi,
Bass khuda sr baatein karti thi,
Ik shaam ke anchal mai aksar,
Jazbat chupaye rakhti thi,
Darti thy juda ho janey se,
Ya pyar se shayad darti thi,
Kya sabar tha us dewani ka,
Kya zabt-e-mohabat rakhti thi,
Hai rashk mujhy us pagal pe,
Kya khoob mohabat karti thi,
Wo larki shayad pagal thi,
Kya khoob mohabat karti thi..



Shayari message 9

Usey barish pasand hai,
Mujhe barish mein woh,
Usey to pasand hai,
Hanstey rehna,
Mujhe hanstey huye woh,
Usey to pasand hai
Boltey rehna,
Mujhe boltey huye woh,
Usey to pasand hain
Duniyaa ki saari neymtain,
Aur mujhe sirf woh…



Shayari message 10

Haal Kya Poochtay Ho Dard-e-Dil Ka,
Hum To Yaadon Ke Sataye Huey Hain,
Rooh Mein To Tum Samaye Huey Ho,
Hum To Tere Daar Se Bhi Thukraye Huey Hain,
Dil Ke Siva Tumhein Or Kiya Dain,
Ek Jaan Hai Woh Bhi Tum Ko Lutaye Huey Hain,
Hum Jantay Hain Awais, Kiya Beeti Dil Pay Hamaray,
Woh Pathar Dil Hain,
Hum Hi Dhoka Khaey Hue Hain....

No comments

Got Anything to tell us mate?

Powered by Blogger.