Content Marketing tips that will make you king| brainlife22!
Kya aap bhi Content Marketing sikhna chahte hai? Toh humare iss content ke saath aant tak jure rahiye. Content Marketing traditional marketing form se thora alag hai. Toh ayie jaante hai Content Marketing kya hai? Content marketing ka matlab hai Content plus Distribution. Dono me equally effect dene hai. Ultimately aapko profitable customers ko drive karne hai.
“Content is king”- ye baat toh aapne suna hi hoga. Ye slogan pure internet me spread hai. Sabse important hai aapne content ke through Trust gain karna.
Content kitne types ke hote hai?
• News
• Case studies
• Stories
• Infographics
• Interviews
• Humour
• Reviews
• Video
• Podcast
• Book
• And many more…
Content Marketing ke aur ek important cheez hai Planning. Koi kam karne se pahele Planning karna bohot zaroori hai.
• Ek clear goal set kare
• Aapne audience ko samjhe
• Ek Editorial calendar banaye
• Aapne competitors kya kar rahe hai, wo dekhiye
• Trends ke hisab se chale
• Ek achcha Content banaye
• Audience ke saath engage rahiye
• Aapne content ko promote kariye kyuki ek baat dhyaan rakhna ki promotion hi sab kuch hai
• Data ko analyse kariye
Ek successful content kaise banaye?
• Ek Original content banaye. Dusro ke blogs copy maat kariye
• Ek achcha strong headline bohot zaroori hai
• Aapke writing style aise hone chahiye jo aapke audience ke upar direct impact dale.
• Content me high-quality images ke bohot zaroorat hai. Iske liye Canva.com use kare toh bahetar hai.
• Jo topic ke bare me likhne jaa rahe hai usko achche se research kare
• Content words 1500-2000 ho toh achcha hai
• Content ko is tarha se likhe jisko parne ke time audience ko aapke company ke unique personality ki reflection dikhai de
• Ek thought provoking content banaye
• Content me images aur video adding content ko aur powerful banate hai
• Aapne blog ko update karte jaiye
• And many more…
Content Marketing ke bare me aur detail me janne ke liye humare baki contents ko follow kijiye. All the best!
Aagar ye content apko pasand aye toh ye content aap jin logo ka vala chahte ho unke sath zaroor share kijiye aur aap chahe toh content ko like v kar sakte hai. Aur aage v business related bohot si jankari paane k liye humare blog ko bejijag follow kar sakte hai. Aur aisi hi business related kaunsa knowledge aap janna chahte ho aur hamara is content se kuch vi help hua toh uske bare me niche comment box pe bata sakte hai.
Leave a Comment