5 billion Dollar lessons from Elon Musk’s Cybertruck Launch
5 billion Dollar lessons from Elon Musk’s Cybertruck Launch
Hello
dosto, welcome to our blog. Mai hu Manlyman. Aur Kaise hai aap log? Hope you all are doing very very well. Aaj mai firse
aap ke liye leke ayi huu aur ek naya topic. Toh Aaj humara topic hai ki Elon
Musk k Cybertruck launch se hum kya kya sikh sakte hai. Toh der na karke
chaliye direct topic me chalte hai.
Elon Musk
ka Cybertruck launch hone ke baad 48 ghanta ke Andar 146000 orders aa gaye the.
Amazing!! Aaj mai apko 5 billion dollars lesson k bare me kuch batana chahti hu
jo aap Elon Musk Cyber truck k launch se sikh sakhte hai. Aagar aap apk liye
koi business karna chahte ho aur aap curious ho ye janne k liye ki kaise ye
launch successful huya. Toh iss video ko end tak zarur dekhna aur skip maat
karna.
Lesson no.1: Controversy sells: Cybertruck launch hone k
pahele internet ki duniyaa me bohot publicity ho gaya. Puri duniyaa isk launch
k liye wait kar raha tha. Jab Cyber Truck ka image market pe viral hua, bohot
logo ne bohot kuch kaha. Memes share hui. Kuch kuch log unko pagal kahne lage.
Kisine kaha ye Earth ka car ho nahi sakta, lagta hai ki ye Mars ka car hai.
Kisine kaha ki ye paper plane ki tarah dikhta hai. Koi kaha ki ye Lego creation
jaisa hai. Har din koi na koi kuch na kuch alag kahne lage. Social media pe har
din kuch naya dikh raha tha. Kitna Publicity hua is Tesla Cybertruck ka?? Kya
ye koi dusre normal car or truck launch jaisa hi tha?? Love it or hate it, Kuch
matter nahi Karta. Bohot publicity hui thi social media k through. Hum dar jate
hai agar market me humare product ko leke controversy suru ho jati hai toh.
Love it or hate it but don’t ignore it. Humko bas market pe attention chahiye,
isk liye Controversy sells ka importance bohot hai.
Lesson no.2:
Leverage your personal Brand for publicity: Aagar apke pas apna koi personal brand ho usko publicity
karna parega. Jaise kya Aap BMW ki CEO ko jante ho? Kya aap Audi ki CEO ko
jante ho? Lekin aap Tesla k CEO ko jante ho? Obviously jante ho, kyuki wo hai
Elon Musk. Aab mera question hai kaise jante ho? Elon Mask bohot sari medium ki
through aapne brand ka publicity kiya. Kabhi radio station pe, kavi tv show pe
interview dekar, kavi cartoon show k through, kavi YouTube, twitter use karke.
Aise usne apna brand ka publicity kiya.
Lesson no.3:
Host a live event: “Wo
aapna product banana se pehle hi bech diya”- apko ye sunke zaroor lagega ki ye
kaise samvab hai?? Usne apna product launch kiya demonstration deke jo dusro se
alaag tha. Usually Log Trucks utna pasand nahi karte. Magar, Usne billion
dollars Ka products sell kar diya. Kaise? Usne Cybertruck k upar market se
feedback le liya, ki lok kya kya pasand karte hai aur kya nahi. Kya kya add
karna hai, kya improve karna hai, kya change karna hai. Uske baad usne ye truck
launch kiya aur logo ko pasand vi aa gaya. Aur ye idea seriously bohot hi
powerful hai. Jaab truck demonstrate hua wo unfinished tha. Tab log bohot hi
creative ho gaye the. Koi usko edit karke red kiya, koi blue, koi green, koi
black. Aise karke different colours apply kiya. Aur jab final result aya matlab
finally launch hua taab model ko dekhke savi logo ko car pasand ane laga aur
sab uske bare me baate karne lage. Soch ne lage ki yeh truck toh bohot hi cool
hai, kash humko v ye mil jate.
Lesson no.4:
Selling Against: Elon Musk Apna truck bohot entertaining tarike
se demonstrate kiya. Logo ko bataye Product pe kaun kaun si facility nahi hai.
Aur isliye wo trending pe aa gayi. Jo log uske product par attention nehi de
raha the, wo vi dene lage.
Lesson no.5: Reveal
your flaws: Cybertruck k
video pe ek highlighted portion tha jaha Elon Musk demonstration de rahe the
waha Window pe bohot crack ho gaya tha. Do bar hua tha yeh. Puri duniyaa ye
baat kar rahi thi ki kyu yeh hua? Aab kya hoga? Iss demonstration ko dekhke sab
hasne lage. Ye koi plan tha? Aur aisa sach me hua? Aur ye koi accident tha?
Elon Musk ne kaise yeh allow kiya? Lekin sabse maze ki baat hai ki, who cares?
Agar ye pre-planned tha toh ye bahut achchi baat hai, Aur Accident tha toh bhi
theek hai. Actually, uss product k bare me baat ho raha tha. Logo k searching
option pe wo truck tha. Truck ko lekar lok baate karne lage. Toh jab final
product market pe aya toh woh bahut highlighted tha aur lok order karne lage.
Ye strategy aap
apke business pe apply kar sakte hai. Logo ko maat bataiye ki apka product
perfect hai, magar usko ye batayiye ki uss product k saath issues kya hai,
Kyuki koi vi product perfect nehi hota. Ye strategy kaam karega. Ye achcha hai,
powerful hai but expensive bhi hai. Aap lok ko kahe sakte hai ki ye achche se
kaam karte hai magar kuch certain situation pe hi kaam karte hai. Ye baat logo
ko comfort zone pe le layega. Log ap par
aur apk products par trust karenge.
Aagar ye apko pasand aye toh ye aap jin logo ka vala chahte ho unke sath zaroor
share kijiye aur aap chahe toh ye post ko like v kar sakte hai. Aur aisi hi life
aur business related kaunsa knowledge aap janna chahte ho aur hamare is content se aapka kuch vi help hua toh uske bare me niche comment box pe zaroor bataye.
Everything is on the point... But it's for long run... And one need to have faith on it.
ReplyDeleteRight...
Delete