7 ways to grow your business during a global crisis

 

7 ways to grow your business during a global crisis





Kaise hai aap log? Hope you all are doing very very well. Chaliye suru karte hai aaj ka humara topic. Toh Aaj humara topic hai ki iss global crisis k time pe kaise apne business ko grow kare. Toh der na karke chaliye direct topic me chalte hai.

Aaj hum aise 7 important things k bare me discuss karne ja rahe hai jo hum sab logo ko business k time pe yaad rakkhna chahiye. Aur ye points follow karke aap apne business ko grow karwa sakte hai, no matter kaise vi situation aye. Jaise avi Corona Virus k wajah se lock down chal raha hai, business pe bahut problem aa raha hai. Toh aise situation ko aap kaise handle karoge? Janne k liye humare sath video me end taak jure rahiye.

India pe different log different business karte hai. Koi restaurant chalate hai, koi book stores chalate hai, koi tailoring ka business karta hai, koi jewellery business karte hai. No matter, Koi bhi business pe ho magar wo same market share k liye competition jari rakhte hai. Crisis k pahele jitni log market pe rahte hai. Crisis k baad kuch log business chor dete hai. Aur jo log rahe jate hai wo sab, jo logo chor jate hai unka market share le leta hai. Aisi ghatna India k har market street pe hoti raheti hai. This is all about survival of fittest. Magar aaj k paristhiti pe jo hone ja raha hai wo hai survival of the strategist. Toh aise 7 strategies humko yaad rakna hai...

1.    Free agency of talent: Jo log crisis k baad business chor dete hai un log k paas bahut talent hota hai magar wo aab free agents ki tarah rahene lagte hai aur kaam dhundte hai. Ho sakte wo log kisi restaurant ki manager the, jo aapne kaam k bare me bahut serious hai, bahut honest hai. Hum aise logo ko aapne business pe hire karke business growth karwa sakte hai.

 

2.    Acquire/Acquisitions: Iss crisis k baad agar aap k financial condition thik hai. Aagar apke hatho pe paise hai, aur aap aur paise kamana chahate ho toh ye point appropriate hai. Jo log business chor k gaye un logo k business aap start kar sakte hai. Istarah aap apne business ko grow kar sakoge.

 

3.    Focus & Minimize: Aap apne business grow kar sakte ho agar aap apne business pe koi speciality rakhte hai. Ek example dekh lijiye, agar ek restaurant owner uske restaurant pe Indian, Chinese, Korean, continental aise varities k food sell karte hai, aur unk pas me ek aur restaurant hai jo sirf Indian food sell karta hai. Kis dukan pe zyada sell hoga? 2nd restaurant pe. Par Kyu? Kyuki unpe speciality hai. Sirf ek type pe focus kar raha hai. Isse food ka quality vi theek thak rahega aur taste vi. Isiliye apne business pe kisi ek type par focus karo.

 

4.    Tech: Engineers log coding kar sakte hai, Specially Computer Science and Electronics k students. Unko v job chahiye. Agar aap koi business kar rahe ho toh unko hire kar sakte ho aur aapne business ko grow kar sakte ho. Aaj ke digital world pe coding har business k liye bahut essential hai.

 

5.    Strategic Partnerships: Humare society pe aise bahut log rahete hai jab aap chote business karte ho taab apko bahut gyan dete hai, aapko phone karte hai, aapse milte hai. Aagar aap kabhi apne business grow karne pe safal rahe toh tab bahut hii kaam log aapk sath dete hai. Aapse jealousy kark kuch apka sath chor dete hai. Issliye strategic partnerships har owner ki zindagi me bahut zaruraat hai. Jo apko always encourage karega aur apk business grow hone k liye always help karega.

 

6.    Over communicate with Clients:  Aagar aap apne clients k saath over communicate kar sake toh ye aapk business pe bahut hii achcha affect karega. Aagar aap k business pe koi accha offer chal raha ho, toh aap apne clients ke sath through call or message communicate kar sakte ho. Aur jab koi client aapk Company or shop se koi cheez purchase karenge toh aap apke company ka card unko provide kar sakte ho. Jii ha Dosto ye sab cheez clients ko bahut achcha lagega aur aapka business vi grow karega.

 

7.    Social Issues: Aap apne business ko social media k through vi grow karwa sakte ho. Jaise Facebook. Facebook pe bahut log hote hai. Aagar aap do tin post vi apk business related share kiya toh woh post kuch hii dino me lakho logo k nazar me ayengi. Aur interested logo aapse communicate karenge.


Toh Iss Global crisis k baad kuch log aapne business ko shutdown kar denge, kuch survive karenge aur jo ye time-period ko overcome kar payenge wo hi stronger hai. He will be the winner. Toh ye 7 strategies age apko bohot motivate karega, so you can follow these.

Aagar ye topic apko pasand aye toh ye topic aap jin logo ka vala chahte ho unke sath zaroor share kijiye aur aap chahe toh iss ko like v kar sakte hai. Aur aage v life and business related bahut si jankari paane k liye iss blog ko bejijag humare  subscribe kar sakte hai.  Aur aisi hi life aur business related kaunsa knowledge aap janna chahte ho aur hamara is topic se kuch vi help hua toh uske bare me niche comment box pe bata sakte hai.

 

No comments

Got Anything to tell us mate?

Powered by Blogger.