What is SEO in 2021? - On Page SEO and how to write an article like a Pro
What is SEO in 2021? - On Page SEO and how to write an article like a Pro
Aaj hum jis topic ke bare me baat karne jaa rahe hai wo hai SEO. Inka full form hai Search Engine Optimization. SEO ke through aap aapne blog par bohot saare traffic la sakte hai. Kya aap jante hai ki ek Website kaise Google me rank karte hai? Ye kuch factors ke upar depend karte hai, jaise:
• Aapke fresh Contents
• Backlinks
• Site Secure
• Aur User Experience
SEO do types ke hote hai jaise:
• ON page SEO
• OFF page SEO
Ek content me, Keywords ek aur important factor hai jo ek WEB PAGE ki content ko describe karte hai. Ye Keywords ke wajah se aapke content rank karte hai. Iske madad se aapke contents Search results ke list me aate hai aur massive traffic site me laate hai.
Ek SEO based contents likhne ke pahele kuch important points yaad rakhe:
• Aap jis topic ke upar likhne jaa rahe hai uske upar achche se research kariye
• Keyword research tools ke achche se use kare
• Long-tail keywords ko bhi thik se use kare
• Aapne niche ke related topics ke ek list banaye
• Clicks, Traffic Potentials, keyword Difficulty vi other important factors hai
Keyword Research ke bhi bohot Resources hai, wo hum humare lessons me discuss karenge. On Page SEO ke aur bhi bohot sare features hai. Iske liye aapko humare course ko dekhna parega. All the best!
Aagar ye content apko pasand aye toh ye content aap jin logo ka vala chahte ho unke sath zaroor share kijiye aur aap chahe toh content ko like v kar sakte hai. Aur aage v business related bohot si jankari paane k liye humare blog ko bejijag follow kar sakte hai. Aur aisi hi business related kaunsa knowledge aap janna chahte ho aur hamara is content se kuch vi help hua toh uske bare me niche comment box pe bata sakte hai.
Leave a Comment