10 industries booming due to the corona-virus
10 industries booming due to the corona-virus
Inme koi doubt nahi hai ki
Corona virus ki wajah se duniyaa ki bohot sari business me bad effects par rahi
hai. Aur woh business suffer vi kar rahi hai. Magar aisi bohot sari industries
hai jiski business me bohot growth hone ki chances hai. Toh aap kyu industries
ke bare me aware rahenge? Toh ye video se aapko kuch aisi insights milenge ki
kaise apne business model ko aap modify karenge? Aur inke zaroorat kyu hai?
Aagar corona effect khatam hone ke baad ya inhi crisis ke time aap business
karna chahte hai toh ye video aapke liye hai. Toh yaha aise 10 industries
dikhane jaa rahe hai hum log jo bahut fayedemand honge:
1.
E-learning
Industry: Bohot saare aise log hai jo
aapne ghar me baithe hue hai. Aur unme se bohot sare logo ke pas job vi nehi
hai. Wo aab soch rahe hai ki kaunsi skills wo develop kare? kaisi knowledge
develop kare ek better job pane ke liye? Entrepreneur, businessman logo ko vi
ye laag rahe hai ki aapne business model ko develop karne ke liye kya karna
chaiye? Toh log aisi opportunities dhoond rahe hai, specially aisi learning
opportunities jo wo ghar me baithe hi kar sake. Aapne computer ya mobile se hi
sikh saake. Toh ye E-learning huge hai. Bohot saare students ghar baithe par
rahe hai. Unme se bahut sare students virtually sikh rahe hai. Inke baad bohot
sare log ya bohot sare students ye question karenge ki kya humko school jane
hai? School jaake wo degree hasil karne se hi kya hum future ke liye prepare ho
jayenge? Aur aise hi world bahut choti si samay me bahut change ho jayenge.
2.
Medical
Products Industry: Yeh ek aise
industry hai jo Corona virus rokne ke liye madat kar rahe hai aur aage bhi
karte jayenge. Hum Hand sanitizer, masks aur aisi kayii sare medical cheezo ke
bare me baat kar rahe hai jo logo ko isi time kaam me aa rahe hai. Ye saab kuch
khatam hone ke baad jaab koi vaccine available honge taab aisi nahi ki virus
ekdam se khatam ho gaye ho. But we are hoping that ki aise ho. Toh aise points
ko yaad rakhte hue humko aage barna hai. Aur aisi kai sare virus ke effect
future me ho saakte hai. Toh ek medical supplier business sirf ek great
business nehi, inme sirf profit nehi milti magar bohot logo ke jaane bachae
jate hai.
3.
Delivery
services Industry: Jaise hum Sabhi is
time government ke advice wise ghar me atak gaye hai. Toh humko kuch kharidne
ke liye online order karni par rahi hai. Aur hum jyaada cheeze order kar rahe
hai, aur delivery services bhi huge hai.
4.
Home
Entertainment Industry: Hum sab log
Netflix, Disney streaming, YouTube ke bare me baate karte hai. YouTube aise bohot
sare content creator rahete hai jinke AdSense revenue bohot down hote hai.
Kyuki woh thik taraha se audience ko der taak entertain nehi kar saakte hai.
Toh iss time Home entertainments bahut booming hone wale hai. Aagar aap koi
entertainer ya content writer hai toh aap aapna kaam jari rakhiye. Kaam karna
bandh maat kijiye aur aapna audience numbers baraiye. Gramophone aur camera
leke aapne content banaiye aur logo ko dikhaiye. Yehi sahi waqt hai expand
karne ke liye.
5.
Online
Gaming Industry: Log kabhi kabhi bohot
bore feel karte hai aur thora entertainment chahte hai life me. Woh aapne
boring life ko skip karna chahte hai. Jaise log physically Casino game khelte
hai magar unko online me Casino game bhi achche lagte hai. Aur bohot saare log
online game khelte hai aur ye bohot popular bhi hai. Aur aage bhi bohot saal ye
continue hote rahenge.
6.
Online
Dating Industry: Jaise hum saab log
isolated hai, toh humme se bohot sare log lonely feel kar rahe honge. Hum logo
se connect hona chahate hai. Bohot sare log single honge. Bahut saare lok ghar
se kaam kar rahe hai. Woh bhi aise opportunities dhoond te hai ki koi cafe me
jaake kisise mile, thora baat kare. Online dating huge hai aur age bhi hote
rahenge. Ye koi daily website nehi hai, magar ye jo kaam karte hai, ye industry
aage bohot grow karenge.
7.
Software
Industry: Log ek dusre se communicate
karne ke liye Skype, zoom jaise software platforms ko use karte hai. Iss type
software age bhi bohot achche grow karenge. Aise software jo logo ko online
business start karne madat kare wo business bhi aage bohot grow karenge. Toh
aapko ye sochna hai ki woh particular market me kaise serve karne hai. Kyuki
Log behaviour kharid te hai. Woh aapne habits ko develop kar rahe hai. Sab kuch
corona virus khatam hone ke baad same nehi rahenge.
8.
Supplement
Industry: Supplement Industry all
time huge hote hai. Corona virus ke time log bohot health conscious ho rahe
hai. Log bohot daar daar ke jii rahe hai aapne health ko leke. Wo aapne body,
health ke thik se dekh Val karna cha rahe hai. Toh log bohot vitamins aur
supplements le rahe hai aapne immune system aur body ko strong rakhne ke liye. Woh
sirf apne liye nehi, family aur friends ke liye bhi kharid rahe hai. Toh yeh
industry bhi expand karenge.
9.
Supermarkets
Industry: Ye bohot obvious hai ki is
time log ghar me cheeze stock kar rahe hai. Bohot sare khane kharid rahe hai.
Iss time supermarket me bohot sales ho rahe hai. Aur kabhi kabhi saaman out of
stock ho rahe hai kyuki log jyaada kharid rahe hai. Kyuki log daar k mare jyaada
kharid rahe hai.
10.
Cleaning
Industry: Ho sakte hai ye bohot
glamorous industry nehi hai. Log office, hospital, cafe jaha bhi jaye thora
cleaning place chahte hai. Ek cleaner place, sanitized place. Toh woh aise
cleaners hire karenge jo higher quality follow karte ho aur koi professional
cleaning industry se ho. Toh ye industry bhi aage bohot grow karenge.
Toh ye saare industries
corona virus ke wajah se aage bohot hi grow karenge. Toh humko yaha yehi
samajhne hai ki hum in industries me rahena chahte hai ya nahi aur in
industries ko kaise serve kare. Aur ye bhi soch sakte hai ki kaise aapne
business model ko change kare. Aapko ye yaad rakhne hai ki ye saab kuch aage
bhi same nehi rahenge. Log differently cheeze kharidegi, differently money
spend karegi. As an Entrepreneur humare paas ek hi job hai ki market me kaisi
problem hai ye dhundke waha thik tarha se serve karna. Sirf humko hi serve
karne hai.
Leave a Comment