This is like rebooting your brain just try it

 


 

This is Like Rebooting Your Brain!!! Just Try It!

Kaise hai aap log? Hope you all are doing very very well. Chaliye suru karte hai aaj ka humara topic. Toh Aaj humara topic hai ki aise kaunsi tarika hai jisse aap aapni brain ko reboot kar sakte hai? Ji haa dosto aapne thik hii dekha. HACK. Aur wo bhi neuroscientists dwara recommend kiya gaya hai. Toh der na karke chaliye direct topic me chalte hai.

 

Kabhi kabhi hum logoko bohot exhausted feel hote hai aur energy vi down hote hai. Kabhi kabhi toh subha me uthne ke baad vi aisa lagti hai. Humare brain theek se kaam nahi kar pate aur hum clearly kuch soch vi nahi sakte. Kuch handle karna humare bas ki nehi hote hai. Humko lagte hai hum aapne aap me nahi hai. Aap in topic me jo technique janne jaa rahe hai wo aapke aandar ke balance ko recover karne me madat karegi. Ye ek aisa tarika hai jo aapko aandar se bohot relax and relief feel karwaenge. Aapko aur clarity aur comfortable feel hogi.

 

12 pressure points that will Relieve any pain: Ye technique jo aap sikhne jaa rahe hai, ye bohot sare researches ke focus point hai. Aur inka result bhi amazing hai. Ek experiment hua tha jaha 1000 volunteers ko kaha gaya tha ye amazing results ko quit kar dene ke liye. Just 1-minute ke baad 88% ko lagte hai ki kuch neurological level pe ho raha hai. Baki logo ko lagte hai ki unme kuch changes hua hai. 1-2 ghante ke baad ye technique ka jo main gist hai, jo neurology ke base me bani hai, wo hai ki aapne system se kuch certain elements ke stimulating ke upar focus karna. Fingers ke middle me interphalangeal joints me pressure deke nociceptors aur mechanoreceptors stimulate hote hai. Inka result aisa hota hai ki Data nervous system ke through brain me transfer hote hai. Ye receptors actually sensory fibres hai jo aapna raasta spinal cord ke Posterior horn tak banate hai. Nociceptors ko pain sensors vi kahete hai. Ye stimulate hote hai jaab aap koi pain ya discomfort feel karte hai. Woh ye message spinal Thalamic Tract ke through brain ko send karte hai. Finally, Thalamus me pohochne ke baad, yaha se information Somatosensory Cortex pe jate hai. Waha data processed hote hai. Yaha jaab reverse process hote hai matlab brain, spine ke through message vejta hai. Ye sab message send hote hai ek network create karke, jo ek reflex create karte hai. Aur ye technique video me mainly focus kiye hue hai. Chalie detail me jate hai. Ye bohot easy hai aur aapko sirf aapne aath ungli ke second joint ko use karni hai. Thumbs ko maat use kijiye. Ek saath aapke ungli ko lijiye aur 2nd joints ko ek ek ek ungli se touch karwaiye. Jaab aap joint ke upar joint aur bone ke upar bone payenge, taab unglio ko squeeze karke pressure apply karna. Squeeze karte hi rahena. At some point, aapko ye feel hoga ki kuch toh ho rahi hai aapke sinus ke saath. Aapke akho ke peeche, Sar ke upar aur skull ke peeche kuch ho rahi hai. Aisa lagti hai ki aapke akho ke peeche se tension release ho rahi hai jaha me maxillary sinus hote hai. Eustachian tubes me dripping feel hogi. Pressure dena bandh mat karna, aur ye process 1-minute tak continue karni hai. Aagar aap ye aapne friends aur family ka sath practice kare toh aapko ek ek person me different symptoms dikhayi denge. Aap jaab pressure apply karte hi jayenge aapko wo changes feel hona suru ho jayegi. Ek minute baad apni unglio ko chor deni hai aur ye observe karni hai ki kaise changes aapko provoke kar rahi hai. Koi Eustachian tubes se dripping feel karegi aur ringing sound aapne kano me mahesus karegi. Ye ringing sound ko Tinnitus kahete hai. Dhire dhire ye sound vi khatam ho jayegi. Aur aapko jo dizziness feel hoti thi wo kam hoti jayegi. Ye technique apply karne ki koi exact time nehi, any time aap ye apply kar sakti hai. Aap relaxation ke liye kabhi bhi ye technique use kar sakti hai. Aapne parasympathetic nervous system ko increase karke aap apke blood pressure down, pulse rate low kar sakte hai. Ye technique apply karne ke sath saath humare body me aisa pressure points hote hai jo humare health balance ko restore karne me madat kar sakti hai. Expensive medication aur treatments ke alternative ways bhi hote hai. Thora study karke aap ye sab techniques jaan sakte hai.

1.    FENG CHI: Aapne hatho ke unglio ko sar ke peeche rakhiye. Aab apne thumbs se jaha neck area ke muscles aur skull milte hai waha pressure apply kijiye. Aur 4-5 seconds massage dijiye. Inhi technique apply karke headaches, migraines, fatigue, low energy aur eye-blurness cure hoti hai. Cold or flu related symptoms se vi relief milte hai.

 

2.    JIAN JING: In technique ko apply karne ke liye humko index finger or thumbs ki zaruraat paregi. Aapke shoulder me rotator cuff ke beech Spine me 4 to 5 seconds apply karni hai. Ye points specially neck stiffness, shoulder tension aur headaches cure karne me bahut madat karte hai.

 

3.    SAN YIN JIAO: Jaab tak aap pregnant nehi hote hai, ye pressure points bohot kamal ki kaam karte hai. Urological disorders, pelvic disorders, menstrual cramps, Insomnia - agar inme se koi vi problems aap me ho toh aap inhi points ko use kar sakte hai. Aapne ankle ke upar 4 unglio se pressure apply kijiye. 4-5 seconds ke liye ye pressure continue deni hai.

 

4.    ZHONG ZHU: Ye point knuckles ke peeche hote hai.  Jo tendon se bane groove shape ki hoti hai. Ye technique use karke Headache, shoulder pain, neck tension, upper back pain se relief paa sakte hai. Yehi point me 4-5 seconds pressure apply karni hai.

 

5.    ZU SAN LI: Aagar aap gastrointestinal issue, stress, vomiting, nausea, fatigue ke problems se guzar rahe hai, toh ye pressure points aapko relief degi. Traditional Chinese books me ye points better general health aur longevity ke liye recommend kiye hai. Ye points humare legs ke outward facing sides me milti hai. Kneecap se char unglio neeche ye points hote hai. 4-5 second neeche ki taraf pressure apply karke aap pressure apply karke relief paa sakte hai.

 

6.    NEI GUAN: Pregnancy ke time vomiting aur nausea bohot common cheez hai. Nei Guan points me massage bohot kamal ki relief dete hai. Aapne wrist se 4 unglio niche ye pressure points rahete hai.  Aapko 4-5 seconds ye pressure apply karne hai.

 

7.    SHOU SAN LI: Shoulder pain, Neck stiffness, Diarrhoea bohot disgusting hai. Ye pressure points ko use karke aap in sabse relief paa sakte hai. Aapne elbow ko 90 degree me bent kijiye aur elbow crease se 3 unglio neeche point me pressure apply kijiye aur 5 seconds taak massage kijiye.

 

8.    HE GU: Aagar aap pregnant hai, toh ye aapke liye nahi hai. Kyuki inme bohot pressure apply karna zaruri hai. Aapke index finger aur thumbs ke beech point me 4-5 seconds pressure apply karke stress, facial pain, neck pain, toothaches se relief mil sakti hai.

 

9.    TAI CHONG: Ye point index toe aur big toe k join me hote hai. Yaha 2-3 seconds pressure apply karke aap stress, lower back pain, menstrual cramps, high blood pressure, insomnia, post stroke depression se relief mil sakte hai. Jinko digestive problems, eye problems, headaches, genital pain, canker sores ki problem hai, wo bhi inhi points ke madat se cure ho sakte hai.

 

10.                       YIN TANG: Aapne forehead me eyebrows ke beech ek minute tak aap gently pressure apply karke chor de. Aagar aap yehi hafte me 2-3 times kare toh aap naturally eye strain, stress, headaches, nasal problem, Insomnia, Sinus congestion se relief payenge. Aur aapne brain ke effectiveness increase kar sakte hai.

 

11.                       LAO GONG: Mouth Ulcers, mouth fever, anxiety se relief pane ke liye ye points bohot bariya kaam karte hai. Humare palm ke upar ring finger ke neeche ye point hai. Aapne hath ko dhire dhire muththi karo, aise 2-3 seconds rakho. Aur fir chor do. Aap ye technique diin me 2-3 bar kar sakte hai.

 

12.                       QI HAI SHU: Irregular menstruation, lower back pain, asthma, Dysmenorrhea se easily relief mil sakti hai, baas apko ye points use karni hai. Aapke hip se 2 unglio upar ek area hai, waha aapne thumb se pressure apply kijiye. Dono taraf 4-5 seconds massage kijiye. Aur aapko ye daily karni hai better results ke liye.

 

Ye saab natural alternatives, day by day bohot popular hote jaa rahe hai. Inhi techniques ko apply kijiye aur positive changes ko aapne aakho ke samne paiye aur mahesus kijiye.

Aagar ye topic apko pasand aye toh ye topic aap jin logo ka vala chahte ho unke sath zaroor share kijiye aur aap chahe toh isko ko like v kar sakte hai. Aur aage neuroscience aur brain related bohot si jankari paane k liye bejijag humare blog ko follow kar sakte hai.  Aur aisi hi recommendation related kaunsa knowledge aap janna chahte ho aur hamara is topic se kuch vi help hua toh uske bare me niche comment box pe bata sakte hai.

 

No comments

Got Anything to tell us mate?

Powered by Blogger.