Don’t start a business until you read this
Don’t start a business until you watch this
Kaise hai aap log? Hope you all are doing very very well. Aur mai aaj firse aapke liye leke ayi hu ek aur important topic aapke business ke growth ke liye. Toh der naa karke chaliye direct topic me chalte hai.
Hum kayii sari social media
pe dekhte hai ki jo jo log successful entrepreneur hai wo bohot luxury life jii
rahe hai. Unke ghar, vacation spot aur car ko dekh k hum log vi sochte hai ki
chalo koi business start kar lete hai. So, really are you ready to start a
business? Toh fir ye 5 warnings aap k liye. So, let’s start…
1.
Don’t
Start a business if you have no money: Aagar apke paas paise
nahi hai toh koi business start mat kijiye. Aagar apko lagta hai ki aap
business start karne k baad chutki me paise kamaoge, toh fir aap ka ye idea
galat hai. Kyuki business grow karne me time lagta hai. Agar apko lagta hai ki
business start karne ki 2 weeks ya 1 mahine k andaar apko profit milega toh aap
ka ye idea galat hai. Ek real Entrepreneur aisa nahi sochta. Unko ek mahine ya
1 saal lagta hai. Ek achche businessman apne business ko achchi tarah grow
karke achchi profit k liye kayii saal laga dete hai. Aagar apke pas paise nahi
hai toh aap business start na karke ek job kar lijiye. Kyuki business start
karne ki time pe aapko khane k liye yaa kisi dusre kaam k liye paise ki
zaroorat paregi. Toh job karne se apko achchi kamai vi hogi, aur aapk paas
paisa v rahega. Ek business grow karne k liye time, effort aur most importantly
money zaruraat hai. Jaise ek building banane k liye paiso ki zaruraat hoti hai,
thik isitarah ek business ko grow karwane k liye apke paas paiso aur time dono
ki hi zaruraat hota hai.
2.
Don’t
start a business if you don’t understand the Industry: Aap koi vi business start karo uske pahele aapko uss
industry k bare me saab kuch janna hoga. Aagar aap sirf money earn k liye koi
business start kar rahe ho toh fir aapka business successful nehi ho sakta.
Isliye aapko pahele uss industry ko study karna parega. Jaise humko exam me koi
subject me achche marks lane k liye humko un subjects ka basic concept achche
se learn karna parta hai. Yaha hum subject ko business, basic concept ko
Industry aur achche marks ko Profit man lete hai. Thik isi tarah aap apne
business industry ki achche se case study kar lene k baad bahut achche se aapne
business grow karwa sakenge aur achche profit vi payenge. Ek example le lete
hai, chaliye man lijiye agar aap koi restaurant ki business start karna chahte
hai toh aapko kuch cheeze yaad rakhni hogi. Jaise aap kyu ye restaurant open karna
chahate hai? Aapko malum hona chahiye ki iske liye kya kya kaam karna parta
hai? Kaise kaise kaam karna parta hai? Aur Customer ka demand kaisa raheta hai?
Aise hi industry learn karna zaruri hai.
3.
Don’t
start a business if you don’t have stamina: Hum Sab koi na koi businessman ki glamourous site ko
dekhte hai magar uss mukam tak pahuchne k liye usko kitna struggle karna para,
kitne raate soye nahi hai ye saab hum nahi soch te. Koi v business aise hi
chutkio me grow nahi karte. Aapke andaar wo ability hona zaroori hai. Apko v
bahut dard sahena parega successful hone k liye. Tavi aap ek achcha businessman
ban paoge. Isiliye as an entrepreneur Aapke andaar us daard ko sahene ka
stamina rahena bahut zaaroori hai.
4.
Don’t
Start a business if you want more free time: Aagar apko lagta hai ki weekly 5 days kaam karne se
aap bahut bara businessman baan gaye toh fir aap galat hai. Aapko 24x7 hours
kaam karna parega. Yehi ek asli Entrepreneur ka zindagi hai. Aise aapko kuch
saal kaam karna parega. Fir aapko profit ane suru hogi.
5.
Don’t
start a business if you don’t know how to close: Aagar apko aur customer laana hai apko close hona
parega, aagar apko financially strong hona hai aapko close hona parega. Aagar
apko partner chahiye apne business promote karne k liye apko close hona parega.
Agar apke paas ye, dusro ke saath close hone ki mentality nahi hai toh aap
business pe qualify nehi ho saakte hai. No matter, aap kaunsa industry me kaam
kar rahe ho, ya kaunsa product pe kaam kar rahe ho, aapko close hone ka ability
hona chaiye.
Toh ye 5 warnings dhyaan me
rakhte hue aap apna business start kar sakte hai.
Aagar ye topic
apko pasand aye toh ye topic aap jin logo ka vala chahte ho unke sath zaroor
share kijiye aur aap chahe toh isss ko like v kar sakte hai. Aur aisi hi life
aur business related kaunsa knowledge aap janna chahte ho aur hamare is topic
se aapka kuch vi help hua toh uske bare me niche comment box pe zaroor bataye.
Leave a Comment